Sunday 17 March 2013


Yunhi moussam ki ada dekh k yaad aya hai ..
Kis qadar jald badal jate hain insaan jaana....

Zindgi teri aata thi so tere naam ki hai...
Hum ne jese bhi basar ki tera ahsaan jaana...

Dil ye kehta hai shayad ho afsorda tu bhi...
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaana...

                              Awal awal ki muhabbat k nashe yaad tu kr....                            
Be piye bhi tera chehra tha gulstaan jaana...

Ab tera zikar bhi shayad ghazal mein aye...
Aur se aur hue dard k aunwaan jaana....

Hum k roothi hui rut ko bhi mana lete hain...
Hum ne dekha hi na tha muassam hijaran jaana...

Hosh aya to sabhi khwaab the reza reza...
Jese urte hue auraq-e- pareshan jaana....


0 comments:

Post a Comment

Subscribe to RSS Feed Follow me on Twitter!